Monday 16 April 2018

Muawiya ki Hukumat ko Bura Mat Kaho- Fabricated Narration

Imam Ali (as) ne Kaha: Muawiya ki Hukumat ko Bura Na Kaho- Riwayat ka Ilmi Jayeza (Maud'u Riwayat)


Facebook aur Whatsapp par aajkal ye bohot aam ho raha hai ke Hazrat Ali عليه سلام ne Muawiya par jarah karne se tanqeed ki aur wo khud bhi muawiya ki bohot izzat karte thay. Is baat ko sabit karne ke liye in hone ek riwayat aagey ki, jiski picture mai yahan upload kar raha hu. Isse pehle ke ye riwayat ki jarah pesh ki jaye, mai ye baat wazeh kardena chahta hu ke muawiya ki shaan me koi sahih hadith maujood nahi hai, Yahi Imam Hakim aur Imam Nasa'i (رضوان الله يجمعن ) ka man na tha aur is qaul ko Imam Jalaluddin Suyuti ne bhi naqal kiya hai. 

Is riwayat ke mutabik, Imam Ali عليه سلام ne logon ko nasihat ki ke Muawiya ki hukumat ko bura na kaho. Fir unhe khone ke bad logo ki gardano ka alag hone ka zikr hai. Ye riwayat bil tahqeeq to kya bil lafz (wordings) se hi jhutti hai, par ye baat Shia'ne Muawiya ko kabhi hazam nahi hogi kyu ki Allah ne unse Aql cheen li hai. Is riwayat ka manghadat hone ki daleel ab pesh karte hain.

Ye riwayat poori nahi hai. Poori riwayat ye hai:

 لَمَّا رَجَعَ عَلِيٌّ مِنْ صِفِّينَ عَلِمَ أَنَّهُ لَا يَمْلِكُ أَبَدًا , فَتَكَلَّمَ بِأَشْيَاءَ كَانَ لَا يَتَكَلَّمُ بِهَا , وَحَدَّثَ بِأَحَادِيثَ كَانَ لَا يَتَحَدَّثُ بِهَا , فَقَالَ فِيمَا يَقُولُ: أَيُّهَا النَّاسُ , لَا تَكْرَهُوا إِمَارَةَ مُعَاوِيَةَ , وَاللَّهِ لَوْ قَدْ فَقَدْتُمُوهُ لَقَدْ رَأَيْتُمُ الرُّءُوسَ تَنْدُرُ مِنْ كَوَاهِلِهَا كَالْحَنْظَلِ

Translation: Jab Hazrat Ali عليه سلام ki fauj Jung e Siffin se wapas ho rahi thi, tab aap ne kuch logo ko (muawiya ke talluq se) aisi baatein kehte hue suna ki unse pehle wo baat kisi ne nahi ki. Tab Imam Ali ne kaha ki Muawiya ke hukumat ko bura na kaho....

Is riwayat ke kai references diye gaye hai lekin iske sirf 2 sanad maujood hai. Baaqi kitabon me sirf naqal kiya gaya hai. 

Pehli sanad: أَبُو أُسَامَةَ، عَنْ مُجَالِدٍ، عَنِ الشَّعْبِيِّ، عَنِ الْحَارِثِ. 
Abu Usamah > Mujalid > Al Shab'i > Al Harith.

Doosri sanad: خْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللهِ الْحَافِظُ، حَدَّثَنَا أَبُو الْعَبَّاسِ مُحَمَّدُ بْنُ يَعْقُوبَ، حَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ عَلِيِّ بْنِ عَفَّانَ، حَدَّثَنَا أَبُو أُسَامَةَ، عَنْ مُجَالِدٍ عَنْ عَامِرٍ
Abu Abdullah Al Hafiz > Abu Abbas Muhammad bin Yaqoob > Hasan bin Ali Ibn Affan > Abu Usamah > Mujalid > Amir. (Amir yaani Amir Al Shab'i)

Dono sanad'on me Mujalid riwayat karte hai Al Shab'i se. "Mujalid" shadeed Zaeef hai. Inki Jarah kai Kitabon me maujood hai:

1) وَكَانَ ضَعِيفًا فِي الْحَدِيثِ قَالَ يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ الْقَطَّانُ: مَا كُنْتُ أَشَاءُ أَنْ يَقُولَ لِي مُجَالِدٌ مِنْ حَدِيثِ مِنْ رَأَى الشَّعْبِيِّ عَنْ مَسْرُوقٍ إِلَّا فَعَلَ , وَقَدْ رَوَى عَنْهُ يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ الْقَطَّانُ مَعَ هَذَا

Imam Ibn Sa'ad (d.230H) ne apni Tabaqat me likha hai, "Mujalid Zaeef fil Hadith hai". Agey likhte hai ki Imam Yahya Ibn Qattan (d.198H) ne kaha ki 
"Mai kabhi bhi Mujalid ke riwayatein, jo Al Shab'i aur Mashrooq se riwayat hai, likhna nahi chahta tha lekin mujhe likhna pada." 

Tabaqat Al Kabir, Vol 6, Pg 349, Darr Al Sadr, Beirut publications.

2) كَانَ يحيى يضعف مجَالد بن سعيد بن عُمَيْر الْهَمدَانِي الكوفى وَكَانَ بن مهْدي لَا يروي عَنهُ

Imam Bukhari ne apni Tarikh Al Awsat me likha, Yahya (Ibn Sa'eed) ne inhe "Zaeef" kaha. Ibn Mahdi ne kaha, "Iski riwayatein na lein".

Imam Bukhari (d.256H), Tarikh Al Awsat, Vol 2, Pg 79, Narrator no 1864, Dar Al Wa'ee aur Maktabah Darr Al Tarash, Halb, Cairo publications. 

3)  مجالد بْن سَعِيد بْن عمير بْن ذي مران (2) الهمداني كوفِي كَانَ يحيى القطان يضعفه وكَانَ ابْن مهدي لا يروي عنه، عَنِ الشَّعْبِيّ وقيس بْن أَبِي حازم

Imam Bukhari fir apni Tarikh Al Kabir me likhte hai ki Ibn Sae'ed ne inhe Zaeef kaha aur Ibn Mahdi ne kaha ki
"Inki wo riwayein jo Al Shab'i aur Qais Ibn Abi Hazm se riwayat hai, wo bilkul na liya jaye yaani la qabil e qubool hai." 

Imam Bukhari (d.256H), Tarikh Al Kabir, Vol 8, Pg 9, Narrator 1950, Darr Al Marifah publications.

وَقَالَ أَحْمد مُجَاهِد لَيْسَ يشيء

Imam Ahmed ne kaha, "Mujalid ki riwayatein mazboot nahi hai."

Al Dha'eef As Sagheer, Imam Bukhair (d.256H), Vol 1, Pg 130, Narrator 384, Maktabah Ibn Abbas.

4) مجالد بن سعيد يضعف حديثه

Imam Juzjani (d.259H) ne apni kitab Hawl Al Rijal me farmaya ke, "Mujalid Dha'eef ul Hadith" hai.

Hawl Al Rijal, Imam Juzjani (d.259H), Vol 1, Pg 144, Narrator no 126.

5)  مجالد بن سعيد الهمداني أبو عمر الكوفي: ليس بالقوي

"Mujalid ke riwayatein Mazboot nahi."

Imam Ajuli (d.261H), Al Thiqat, Vol 1, Pg 66, Narrator no 91, Darr bin Bazz, Riyadh publications.

Maktabah Darr Madina Al Munawwara se chappi gayi kitab me Mujalid ko "Hasan Al Hadith" kaha hai lekin saat me Imam Yahya Ibn Sae'ed ka ek aur qaul darj hai ki apne kaha, 
"Mujalid ke, Al Shab'i aur Qais Ibn Abi Hazam se riwayatein sahih nahi hai." (Vol 2, Pg 64, Narrator 1682).

6) مجَالد بن سعيد كُوفِي ضَعِيف

Mujalid bin Saeed Dha'eef hai.

Imam Nasa'i (d.303H), Al Dha'eef wal Matrokeen, Vol 1, Pg 95, Narration no 552, Darr Al Wa'ee, Halb, Cairo publications.

7)  يحيى بن معين انه قال: مجالد لا يحتج بحديثه

Imam Abi Hatim (d.327H) ne apni kitab "Al Jarah O Tadeel" me Imam Yahya Ibn Maeen ka qaul riwayat kiya hai ki "Mujalid ki riwayatein hujjat/ qabeel e qubool nahi hai." Imam Abi Hatim ne doosre Imam'on ka qaul bhi darj kiya hai.

Al Jarah O Tadeel, Imam Abi Hatim, Vol 8, Pg 361, Narrator no: 1653, Darr Al Tarash Al Arabiyya, Cairo publications.

8) Imam Ibn Hibban (d.365H) ne Mujalid ko apni "Majrooheen" (Zaeef aur Kazzab raawi'on ki kitab) me zikr kiya hai. 

Majroheen Ibn Hibban, Vol 3, Pg 10, Narrator no 1039, Dar Al Wa'ee, Halb, Cairo publications.

Ye 8 riwayatein to sirf Salaf us saliheen se hai. Imam Daraqutni (d.385H) ne, Imam Abu Hafs Al Baghdadi (d.385H) ne, Imam Mazzi (d.742H) ne, Imam Dhahabi (d.748H), Imam Ibn Hajr (d.852H) ne apni apni kitabon me sirf Mujallid ki Jarah hi ki hai.

Ye riwayat manghadat aur jhutti hai. Khawarij, Ahle Hadith aur Barelwi razvi ke baaton me na aayein. Jitni bhi inki riwayatein hoti hai wo isi tarah jhutti hori hai.